I am Just a Common Man
I am Just a common man
Agar aap mere bare main jaanana chahe tho?
Na main hindu hun na musalman,
Na he sikh aur na isaai.
Iam just a common man
Jo ki har bus, train ya fir
Kisi bhi bheed bhare bazaar main ye sochkar safar karta hai
Ki kya who shaam ko ghar jaaga…?
Meri biwi muje hamesha phone karke tang karti hai
Ye baar baar phone karke poochti hai ki kahan ho?
Pahunch gaye? Kab aaoge?
Ghar main tamatar nahi hain lete aana
Pyaaz bhi nahi hain woh bhi lana
Bathroom ka bulb fuse ho gaya hai woh bhi lana
Aur haan bache tution main hain unko bhi saath le aana
Aur suno ghar juldi aana
Darasal woh ye check karti hai ki main zinda hun ya mar gaya
Because i am just a common man.!!
Main har us insaan ki tarah hun
Jo barish main fas kar !
Auto-riksha ki chat par apni saari raat gujar deta hai .!!
Main who hun jo bus ki aakhri sidi main latak kar!
office jaane ki juldi main rehta hai !!
Main who insaan hun, jo bina kisi
Guarantee ke ghar se nikalta hai
Because i am just a common man
Bomb blast ke baad
Television ke saare news channel ko
Kabhi idhar se udhar tho kabhi udhar se idhar karta hun
Akhbar ke har panne ko palatta hun
Doston ko ye kehkar sms ya phone par pareshaan karta hun
Ki kahan hai? teek hai?
Dekh wahan blast ho gaya hai
T.V dekh kya ho raha hai wahan.
Because i am just a common man.
Aaj Sunday hai
Kaafi waqt se ghar ke cockroacho ko bahar nahi nikala
Aaj jhaadu haath main hai
Saare saaf kar doonga
Tabhi main ye sochta hun
Ki zindagi ki raftaar main ek kaam tho bhool he gaya
Jub main apne ghar ke chand
Cockroach ko nahi bardasht kar sakta
Tho main kese duniya main ghum rahe
Un cockroach Naami Terrorist ko bardasht kar sakta hun?
Aao sub milkar haath batayen
In cocrocho (terrorist) ko
Apne shehar, desh aur duniya se mitayen.
Because we all are just common man
And i am just a comman man.
Kya Hindu aur Musalman insaan nahi hote?
Are kya Hindu kya Muslim insaan nahi hote
Jo benaam marte hain kya insaan nahi hote
Ek bachche ke jism ko khareed lete hain Jo log
Un logon ke to imaan kya bhagwaan nahi hote
Jo pyaas bujhaate hain insaani lahoo se
Unke liye jameen to kya aasma nahi hote
Apne liye Jo chahte ho ek ghar naya
Jo todte ho tum kya wo makan nahi hote
Tumko bhi kisi maa ne hi janm diya hai
Jillat se Bach jaati wo gar tum badgumaa nahi hote
Tumhe jab ehsaas haga to tum bhi jaan jaaoge
Kisi ko dard dene wale musalmaa nahi hote
Tabaah karne ke baad kabhi jhaank Lena wo manjar
Tum na hote to kabhi shamshaan nahi rote
Kitna bhi chaho magar yaad rakh Lena ye tum
Ek hee dharti ke do aasman nahi hote
|